Mai Koi Khawab Nahi Poem by M. Asim Nehal

Mai Koi Khawab Nahi

Rating: 5.0

Mai koi khawab nahi
Jo guzar jaoon sote sote
Mai koi baat nahi
Lo lab per theher jao aate aate
Mai koi jism nahi
Jise tum jakad ke rakho
Mai koi raat nahi
Jo andhere mein guzar jaoon
Mai koi ishq nahi
Jo tadapta rahe pyar ki khatir
Mai koi manzar nahi
Jise aankhe dekhti rahe
Mai koi wajah nahi
Jise log bewajah thokar mare
Mai koi patthar nahi
Jika log maqbara banaye
Mai toh ek rooh hoon
Jo jism mein rehkar bhi azaad hai
Mai ek khayal hoon
Jo pankh bina karta parwaz hai
Meri hasti ko mitana mumkin hi nahi
Mai hote hue bhi kisi ke pass nahi.

This is a translation of the poem I Am Your Soul by M. Asim Nehal
Saturday, January 30, 2016
Topic(s) of this poem: life,soul
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 02 February 2016

Wah wah.....Kabhi bhi kisi ko chota nahi samajhna yeh message achcha laga.

0 0 Reply
Savita Tyagi 30 January 2016

Bahut Khoob. Abhilasha's comment added more life to it. It is always so nice to read Hindi ghazals. Thank you for sharing. Thank you so much for reading and commenting on so many poems of mine.

1 0 Reply
Abhilasha Bhatt 30 January 2016

Main Koi awaaz nhi jo gum ho jaun kahin bheed main Main Koi darpan nhi jo toot kar bikhar jaaon tukdon main.... A very lovely poem....Beautiful.....thank you for sharing :)

1 0 Reply
Close
Error Success