Na Jaane Tum Kyun Karte Ho Ese Poem by Priya Guru

Na Jaane Tum Kyun Karte Ho Ese

Rating: 5.0

na jaane tum kyun karte ho ese, dekho ab ye manzar dil ko raas nahi hai
aankho ko din bhar bas, teri raahon ki talash rahti hai
shaam dhalte hi yadoon mein, simat kar kya so jaate ho phir
na jaane tum kyun karte ho ese, dekho ab ye manzar dil ko raas nahi hai
dil ki har tasveer ke pichhe, bas tera hi naam pada tha humne
kisi bheed mein jab na mile tum, toh kya karte hum, dil ke dar par hi ek ghar liya tha humne
roz milte toh ho wahaan, bas wahi bahane dohra jaate ho phir
na jaane tum kyun karte ho ese, dekho ab ye manjar dil ko raas nahi hai
chupke se kahta hai mujhse, shayad khafa hai tumse ye dil
nasaaj samjha hai tumne ise, deedar se ab darta hai ye dil
baate teri hum ab nahi karenge, nahi base ho ab iss dil mein tum
deewana hoon kya tera? nahi hoon tera main, lamhon ki aahat mein thahar kyun jaate ho phir
na jaane tum kyun karte ho ese, dekho ab ye manzar dil ko raas nahi hai

Monday, January 4, 2016
Topic(s) of this poem: missing,missing you,unconditional love
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 04 January 2016

chupke se kahta hai mujhse, shayad khafa hai tumse ye dil nasaaj samjha hai tumne ise, deedar se ab darta hai ye dil आपको शुभकामना देते हुये मैं कहना चाहता हूँ कि इस कविता में प्रेम की भावनाओं की सुंदर अभिव्यक्ति सामने आती है. आपकी आगामी रचनाओं का इंतज़ार रहेगा, नरेश जी.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success