Pakke Dost.. Poem by abhilasha bhatt

Pakke Dost..

Rating: 5.0

Zindagi kitni alag hai na
Jo log paas hain
Unke pas waqt nhi
Jo door hain
Unke pas chahat nhi
Phir hamare ird gird jo hain
Ye kaun log hain
Kyun hai akhir inse hamara rishta
Jahan pyar nhi waqt nhi
Wahan inka astitva
Shunya hone se to kahin behtar hai
Inka na hona..na abhi na kbhi
Kbhi sathi they
To waqt nhi tha
Aj Waqt ki kami nhi
To paas main Koi nhi
Bas hai to ye akelapan aur gup khamoshi
Jo kbhi kbhi acchi bhi lagtin hain
Aur kbhi kbhi kisi tees si mehsoos hoti hain
Man krta hai kbhi
In unche neele vishaal aakash main
Aazaad panchiyon ki tarah udoon
Magar par kahan mere
Kash mere akelepan k par hote
Furrrr krke uda deta main
Door kahin door bahut door
Magar agle hi pal sochta hoon
Ek yahi to hai mera sathi
Jo mere sath hai jo mere paas hai
Ise bhi kho dunga to jiyunga kaise
Islie ab kagaz aur kalam se dosti krli hai maine
Tanhai k sath milkar ab apne dil ki
Sari baatain behichak hokar bayan karunga
Akhir inhi k paas hi to hai mere lie waqt
Yahi to hain mere tanhaai k sathi mere pakke dost..

Sunday, January 24, 2016
Topic(s) of this poem: friends,life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 26 January 2016

Abhilasha Bhatt is capable of combining Urdu and Hindi in such beautiful language that immediately touches the hearts. And when thoughts are so amazing, the poem becomes a master piece.

0 0 Reply
Rajnish Manga 26 January 2016

आज के समय में आपसी रिश्तों में आयी शून्यता को आपने अपनी इस कविता में बहुत खूबसूरती से रेखांकित किया है. शब्दों और अभिव्यक्ति से अपना खालीपन भरना एक सार्थक उपलब्धि कही जायेगी. धन्यवाद. Jahan pyar nhi waqt nhi / Wahan inka astitva / Shunya hone se to kahin behtar hai / Inka na hona..na abhi na kbhi /...Kash mere akelepan k par hote / Furrrr krke uda deta main

0 0 Reply
M Asim Nehal 24 January 2016

Wah...Is akele pan ka kya khoob ilaaj dhundha hai aapne...Kash ke ye ho sakta, bheed mein akele hain hum lekin shamil kiye gaye un logon mein jahan pyar ki kami hai, insaniyat ki kami hai aur doston ki kami hai...Bahut badhiya kavita hai...100+++

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success