Tadapti Aankhein Poem by Shrini Deewana

Tadapti Aankhein



Maine dekha dilruba ki tadapti aankhen,
Jo suni hai aur kho gayee hai un aankhon ki masti,
Woh muskaan bhi ab dekh paata nahin mein,
Dard ut tha hai dil mein jab dekhoon aise apne dilruba ko.

Mein yaad karta hoon un beete dinon ko,
Jab raat din hum saath saath rehathe the,
Na jaane lagi kiski nazar mohabbat ko,
Ke mohabbat mein milan ab apna hota nahin hai.

Magar sanam tu na zamane se darna,
Har lamha har pal tu yakeen mujhpe karna,
Chahe bane dushman yeh duniya apni mohabbat ka,
Mein tera hoon aur tera hi rahoonga kasam se.

Ai sanam apni aankhon ke masti ko tu bhujne na dena,
In aankhon ke masti ko tu kabhi khone na dena,
Kayi khawab humne sajaye hai sanam aankhon mein teri,
Mere khawabon ko sanam tu bhikarne na dena.

Yeh gham ka saaya bhi hat jaayegi jaldi,
Ghamon se tu apne dil ko tootne na dena,
Umeedon ka diya sada jalaye hi rakhna,
Umeedon ke diye ko kabhi tu bhujne na dena.

Chand lamhon ke gham se na maayus hona,
Raaton ke andheron se sanam tu na darna,
Aayegi subah aur mohabbat hogi apni roshan,
Bas apne aankhon ke masti tu sada barkaraar rakhna.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success