Tanhaai.. Poem by abhilasha bhatt

Tanhaai..

Rating: 3.8


Kuch apni si
Kuch parayi
Tanhaai..
Kuch subha main
Kuch shaamon main
Hai chaai
Tanhaai..
Kuch khudki wajh se
Kuch dusre ki wajh se
Door tak faaili
Tanhaai..
Kbhi ugte suraj main
Kbhi doobte aftaab main
Pasri der tak
Tanhaai..
Kbhi raaton main
Kbhi ujalon main
Mehsus hoti
Tanhaai..
Kbhi chup si
Kbhi bolti
Tanhaai..
Kbhi gum si
Kbhi milti hui
Tanhaai..
Kbhi ashkon main
Kbhi rashkon main
Dikhai de
Tanhaai..
Kbhi siskiyon main
Kbhi hichkiyon main
Mil jaye
Tanhaai..
Kbhi mumkin hoti
Kbhi mushkil hoti
Tanhaai..
Kbhi umeed ki
Kbhi naumeedi ki
Tanhaai..
Kbhi khudpar hansti
Kbhi khudpar roti
Tanhaai..
Kbhi sawaal krti
Kbhi jawaab deti
Tanhaai..
Kbhi khudse hoti
Kbhi khudko milti
Tanhaai..
Kbhi kuch pal ki
Kbhi meelon ki
Tanhaai..
Kbhi baadalon si
Kbhi baarishon si
Tanhaai..
Kbhi pyar main
Kbhi takraar main
Tanhaai
Kbhi toot ti
Kbhi todti
Tanhaai..
Kbhi adhuri si
Kbhi mukammal si
Tanhaai..
Kbhi dil main chai
Kbhi zindagi main chai
Tanhaai
Kbhi kisi k lie zaroori
Kbhi khudke lie zaroori
Tanhaai..

Sunday, January 3, 2016
Topic(s) of this poem: emotions
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 03 January 2016

Kbhi chup si Kbhi bolti Tanhaai..... तन्हाई का ऐसा चित्र खींचा है आपने कि जैसे यह अभी बोलने लगेगी. बहुत सुंदर. धन्यवाद.

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 03 January 2016

Thank you for the comment sir :)

0 0
Aarzoo Mehek 03 January 2016

ek duniyaa hai ki hangaama hii hangaama hai aur ik mai.n huu.n ki tanhaaii hii tanhaaii hai Mahendra Singh Bedi Sahar

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 03 January 2016

Meri zindagi ki parchai..mere zindagi k asmaan par abron si chai...tanhai :)

0 0
Mithilesh Yadav 28 January 2016

It's really great when u speak ur heart out...... waisey to mujey likhney key hunar nhi aatey....... hum jab haley dil sunatey hain to log wah wah krtey hain....... grrtt penned

0 0 Reply
Akhtar Jawad 27 January 2016

Kisi ka ek sheyr hay- - - - - - - Ab udas phirte ho sardion ki shamon mein Is tarah to hota is tarah ke kamon mein. Bhavnaein jab singhar karti hayn ro to asha bhi abhilasha bankar kavita ka roop dharan kar leti hay, atyant sunder!

0 0 Reply
Abhishek Mishra 15 January 2016

This is your best one. Hindi poetry me to chha jati hain aap. Bahot khub :)

0 0 Reply
Pranjal Bagadiya 07 January 2016

Spellbound poetry....... Great analytical power and narration style.......

0 0 Reply
Rishi Thakkar 04 January 2016

Kabhi ye dard hota hai soch k kyun hoti hai Tanhaayi Bheed mein bhi Akela kar jaati akelepan mein khud ko milwati tanhayi Aapki kavita padh k Kuch meethe dard mehsus karwati tanhayi Dard ko kisi kone mein kareeb yuhi rakhna bahut zaroori hai ye parchayi Simple words deep meaning Keep it up

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 04 January 2016

Mujh main basti hai yahi tanhaai...mere andar k shakhs main hai chai tanhaai...thank you for your comment rishi.. :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success