Zameen Ka Aasmaan Se Rishta.. Poem by abhilasha bhatt

Zameen Ka Aasmaan Se Rishta..

Rating: 5.0

Zameen ka aasmaan se rishta
Kabhi na milne waale nadi k do kinaaron sa hai
Jinka safar ek hai manzil ek hai raasta bhi ek hai
Magar milna mumkin nhi hai
Zameen ka aasmaan se rishta
Kbhi ek na ho sakte do premiyon ki tarah hai
Jo ek dusre k sath na reh kar bhi ek sath rehte hain
Jo ek dusre k sath nhi ek dusre k dil main rehte hain
Zindagi bhar chalte sath hain
Magar beech k raaste ki doori anginat milon ki hoti hai
Bas ek dusre ko door se dekh kar aankhon main bhar kar zindagi ka safar tey karte hain
Zameen aur aasmaan bhi to bas ek dusre ko dekhte rehte hain shaamon seher
Maano kbhi bhi jee nhi bharta takte rehne se
Aasmaan jo rote hue aansoo barsaata hai
Zameen kaise use khudmain sametleti hai
Maano pyar samet rahi ho wo jo muddaton main naseeb hota hai
Shayad yahi kaaran hai barkha k hone par mitti se sondhi si meethi khusboo aati hai
Jo jab hawa main ghulti hai to pyar ka mukaddas ehsaas hota hai
Mano zindagi se ab koi shikayat aur shikwe na rahe hon
Ab sab hanseen hain khubsoorti se bhara hai
Agar hain to bas do ek dusre se door hokar bhi ek dusre main base do premi hain
Jinke raaste kbhi nhi milte
Magar manzil ek hai
Raasta ek hai
Bas doori hai kbhi na khtm hone wali
Magar pyar bhi hai kbhi na kam hone wala mitne waala..

Thursday, January 14, 2016
Topic(s) of this poem: love and life,land,relationship,sky
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 11 March 2016

A wonderful poem with a nice thought.

0 0 Reply
Upendra Singh Suman 17 January 2016

Zameen aur aasmaan bhi to bas ek dusre ko dekhte rehte hain shaamon seher Maano kbhi bhi jee nhi bharta takte rehne se Aasmaan jo rote hue aansoo barsaata hai Zameen kaise use khudmain sametletileti hai वाह! बहुत सुन्दर

0 0 Reply
Upendra Singh Suman 17 January 2016

Zameen aur aasmaan bhi to bas ek dusre ko dekhte rehte hain shaamon seher Maano kbhi bhi jee nhi bharta takte rehne se Aasmaan jo rote hue aansoo barsaata hai Zameen kaise use khudmain sametletileti hai वाह! बहुत सुन्दर

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success