Zindagi Ek Khwab.... Poem by M. Asim Nehal

Zindagi Ek Khwab....

Rating: 5.0

Ek khwab hai zindagi
Hamein jeena nahi aata
Dekhte hain hum
Magar chalna nahi aata

Tum to chal pade
Raah ko dekh kar
Hum to sochte reh gaye
Kis raah pr chale

Faasla badhta gaya
Darmiyan hamare
Na tum ruk sake
Na hum chal paye

Manzil wahi thi
Raaste badal gaye
Apne musafir hue
Hum maqami reh gaye

Wednesday, January 13, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 14 January 2016

Ye khwab tootne na paye

2 0 Reply
Aarzoo Mehek 13 January 2016

Ek khwab hai zindagi Hamein jeena nahi aata Dekhte hain hum Magar chalna nahi aata Ye kashmakash badi jaan leva hoti hai..khoobsurat nazm..daad qubool farmaai.10

2 0 Reply
M Asim Nehal 14 January 2016

Allah hum sab ko apni panah mein rakhe aur mehfooz rakhe Ameen... Sukhriya

0 0
Rajnish Manga 13 January 2016

हमसफ़र थे मगर, न रहे हमसफ़र उनकी अपनी डगर, मेरी अपनी डगर... बहुत खूबसूरत अंदाज़ में आपने इन खयालात की तर्जुमानी की है, आसिम जी. Hum to sochte reh gaye Kis raah pr chale Apne musafir hue Hum maqami reh gaye

2 0 Reply
M Asim Nehal 14 January 2016

Shukriya Janab....

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success