Itnaa asaan nahin hota hai dukhon se ubar jaanaa
Aye zindagi tere baghair jaanaa bhi to kidhar jaanaa
Tasalli dete raho jivan bhar, jab tak na bane ye afsaanaa
Ghamon ko pee kar, myqada jaanaa bhi to kyon jaanaa,
Kambhakht hawaa ke jhokon ne darakht ukhaad phenkaa hai,
Zamin nahin shaakh bachaane ko, ab kise kyon kar bachaanaa,
Ye dastur-e-ulfat bhi ghazab dastur hai, ishq kitna majboor hai,
Laila mile ya na mile, Majnu to akhir rahegaa Laila ka diwaanaa,
Pyaar ki aankhon se, deedaar e yaar bhi hai ek hansi taraanaa
Geet tanhaa gungunaa kar mahaz dil ko hi hai behlaanaa,
Itnaa asaan nahin hota hai dukhon se ubar jaanaa
Aye zindagi tere baghair jaanaa bhi to kidhar jaanaa
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Ek khoobsoorat nazm......................................10