Binte Umm Poem by Akhtar Jawad

Binte Umm

Rating: 5.0

Mahboob mere daftar ka sathi,
paintis sal ki umr mein bhi kunwarah hay,
sach ppocho to wuh ek majboor becharah hay,
zameen ki taqseem dar taqseem ko rokne ke liye,
panch sal pehle jab uske chacha ke ghar mein ek beti paida hui,
sach poocho to ek aur aurat masloob hui,
us Binte Umm ka nikah mahboob se kar diya geya,
abhi Binte Umm sirf panch sal ki hay,
yeh Binte Umm keya khoob lafaz hay!
Arabi shoara ise mahbooba ke manon mein istemal karte hayn,
jab yeh oont per bandhe hue mahmil mein safar karti hay,
aur uske charon taraf hajib hote hayn,
kahin door ghode per baitha hua uska mangetar,
duaen karta hay ke hawa ka ek sharir jhonka aaye,
aur mahmil ka pardah zara shokhian dikhlaye,
aur ek peyase aashiq ki peyasi aankhon ki peyas,
tapti hui ret ki tishna labi,
thodi si to kam ho jaye!
Magar hajib use pas phatakne nahin dete,
abhi wuh bap ki amanat hay,
jaise hi uska meetha baras laga,
uske ghar pe ek jhanda laga diya geya,
take sabko maloom ho jae,
ek aur mazloom aurat bikne ke liye tayyar hay!
Tajir pesha aashiq paise kamane mein masroof hay,
take uske bap ko uski queemat chuka sake!
Aurat to bikne ke liye paida hoti hay,
ghar mein bike ya bazar mein,
hmare jagirdarana nizam mein,
wuh ek samane taiush hay!

Magar yehan muamla kutch aur hay,
Mahboob ki Binte Umm to abhi sirf panch sal ki hay,
wuh ghar se bahar bhi aa jati hay,
aksar tanha bhi mil jati hay,
aur Mahboob jab use god mein utha leta hay,
to wuh kahti hay,
mujhe tafian dila do na,
mujhe ghubbare dila do na!
Mahboo uski har khawahish poori karta hay,
aur duaein karta hay,
Ya Rab! Isko jald meetha baras lag jaye!
Das sal to lagein ge hi,
tab jakar uska meetha baras lage ge,
jab uske ang ang mein shokhian aur mastian bhar jaen gi,
aur jab Mahboob paintalis sal ki umr mein,
apna sara rooman kho chuka ho ga,
tab wuh uski dulhan ban kar aaye gi,
is beech Mahboob Karachi mein,
kisi ghareeb gharane ki ek ladki la chuka ho ga,
yeh flat wali kahlati hay!

Friday, September 25, 2015
Topic(s) of this poem: woman
COMMENTS OF THE POEM
Wes Vogler 25 November 2015

Perhaps you should now translate this into English. It would make an interesting study.

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 27 September 2015

Amazing expression. Beautiful poem. Thanks for sharing.....10

0 0 Reply
Khalid Saifullah 25 September 2015

Amazing poem......................................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success