Gumsum Gumsum Poem by Akhtar Jawad

Gumsum Gumsum

Rating: 5.0

Kitni peyari theen woh ghadiyan gumsum gumsum rehte they,
Sara alam kho jata tha humtum humtum rehte they,
Jane keya kutch kehte they aur jane keya keya karte they,
Tum humko dekh ke jeetey they hum tumko dekh ke marte they.

Hum aaj chalein ge door kahin yeh rat bitaen ge bahar,
Khana bhi bahar khaen ge har reet nibahen ge bahar,
Yeh chand to poora dikhta hay ismein to tumhara chehra hay,
Ye tum jaisa sharmeela nahin yeh khulkar batein karta hay,
Tum chand se batein karti ho jo mujhse keh nahin pati ho,
Woh sari batein chand se tum chupke chupke keh jati ho,
Yeh bhi nahin sharmata hay aur tum bhi to na jhijhakti ho.
Is umr ki har larki ki tarah keya keya sochti rahti ho,
Kitne woh masoom se hayn jin khawabon ko tum bunti ho,
Apne aap se kahti ho apne aap se sunti ho,
Jab chand tumhare kanon mein chupke se sab kah deta hay,
Woh chandni sari samet ke in do aankhon mein bhar deta hay.

Is rat ke joban ko dekho dulhan ki saheli lagti hay,
Kanon mein keya keya kahti hay yeh ek paheli lagti hay,
Yeh uthti lahrein sagar ki jab sahil se takrati hayn,
Bocharen inse ur ur kar tan man mein aag lagati hayn,
Zara chand ke aks ko dekho to pani mein kaise nahata hay,
Aur apni roothi chandaniya ko yeh kaise kaise chirhata hay,
Jal pariyon ke peeche bhagta hay aur kaise kaise satata hay,
Phir badal mein chup jata hay aur usko kahin le jata hay,
Aur chandni jab sharmai hui badal se bahar aati hay,
Woh apni aankh jhukati hay woh apne badan ko churati hay,
Kutch kehti nahin chup rehti hay aur chupke se muskati hay,
Yeh jadoo dekho muhabbat ka, fitrat keya gul khilwati hay,
Zara chand se jakar poocho to keya jado kiya chaye badal,
Lo hum dono bhee bheeg gaye aur ret hui jalthal jalthal,
Aao ab wapas chalte hayn na chand hun main na chandni tum,
Ab aur yehan keya mumkin hay baithe hain yunhi gumsum gumsum.

Jab thndi hawaein sahil ki jimson ko dehka deti theen,
Jab lehrein machalte samunder ki har shay ko behka deti theen,
Woh lamhe kitne qeemti they hum jane kahan kho jatey they,
Aur wapas aa kar khoey hue do bahon mein so jate they.

Wednesday, October 1, 2014
Topic(s) of this poem: lifestyle
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Glimpses of conjugal lifestyle.
COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 10 October 2014

A most romantic write. Perhaps this is the life.

0 0 Reply
Salini Nair 07 October 2014

Is rat ke joban ko dekho dulhan ki saheli lagti hay, ......................nice

1 0 Reply
Dr Pintu Mahakul 04 October 2014

Gumsum gumsum is really wonderful poem that describes the affection to recollect memories. Nice job.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 02 October 2014

A romantic description of conjugal life, beautiful recollection of past memories.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success