Ma Ki Jasarat Poem by Akhtar Jawad

Ma Ki Jasarat

Rating: 5.0

Betian kitni masoom hoti hayn,
auor betion ki betian
unse bhi zeyadah masoom hoti hayn,
masnad per baithi yeh meri beti,
meri jan meri beti ki peyari beti,
zindigi ki kitab mein kutch likh rahi hay,
ya apni aankhon mein koi tasweer bana rahi hay,
ek nai auor dilnasheen tehrir,
Koi bahut hi khoobsoorat tasweer,
hum isey padh nahin sakte,
hum jise dekh nahin sakte,
Lekin use mahsoos to kar sakte hayn,
rangeen pardon mein chupi kutch is tarah
bilkul gulab ki kali ki khushboo ki tarah,
uske chehre per ek gulab dikhai deta hay,
zindigi ke sanche mein ek khawab dikhai deta hay,
ahista ahista fitrat ki lehron mein tairti hui,
khamosh aur maujon mein bahti hui,
shayed yeh koi nawa-e-sarosh sun rahi hay,
yeh ek khawab bun rahi hay,
kal ise bhi is husn se sanwarna hay,
kal ise bhi is rah se guzarna hay,
aankhon mein ek chahne wale sathi ki peyas hay,
iski sanson mein mustaqbil ki aas hay,
apna barson purana ghar tark kar ke,
apna suhana bachpan qurq kar ke,
ek naya ghar banana hay,
use apne husn se sajana hay.

Aiy khuda tujhe koi hukm nahin de sakta,
aiy Khda teri raza koi tal nahin sakta,
lekin tu qadir-e matlaq hay agar tu chahe,
to keh sakta hay, aaj jo bhi tu chahey,
han aaj tujhe maine mukhtiar kiya,
main ne ek ma ko baikhtiar kiya,
keh keya kahna chahti hay?
mang le keya mangna chahti hay?
jab main keh raha hoon phir keya darna hay!
han yeh ek lamha maine ek ma ko de diya hay,
han Khuda khaliq-e-haquiqui hay,
magar ma bhi to khaliq-e-majazi hay.

Dekh ek ma ki jasarat aaj ma hukm de gi,
aur phir sijde mein gir pade gi,
aiy Khuda! Yeh rang yeh khushboo thakne na pae,
aiy Khuda! Yeh tehrir yeh tasweer kabhi mitne na paye,
isse sargoshion mein aaj yeh wadah kar le,
isse phele key yeh ladki is masnad se uth jaye!

Ma Ki Jasarat
Saturday, January 16, 2016
Topic(s) of this poem: mother
COMMENTS OF THE POEM
Dr Dillip K Swain 12 February 2018

Dekh ek ma ki jasarat aaj ma hukm de gi, aur phir sijde mein gir pade gi, aiy Khuda! Yeh rang yeh khushboo thakne na pae, aiy Khuda! Yeh tehrir yeh tasweer kabhi mitne na paye.....Lovely expression! Loved reading it.....10

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 17 January 2016

aiy Khuda! Yeh rang yeh khushboo thakne na pae, aiy Khuda! Yeh tehrir yeh tasweer kabhi mitne na paye, SubhanAllaah, kya hi khoobsurat tehreen bilkul is masoom si bitiya ki tarha. Ameen iske har lafz par. Dil ko tar.o taaza kardene waali nazm, Dheron daad.o tehseen.10 plusssss

0 0 Reply
M Asim Nehal 16 January 2016

Masha-Allah, ........ Khobsurat si nazm hai, dil ko choo gayi..100+++ Subhan Allah kya dua'a hai janab....... Aiy Khuda! Yeh rang yeh khushboo thakne na pae, Aiy Khuda! Yeh tehrir yeh tasweer kabhi mitne na paye,

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success