Main Ek Phool Hun Kanto Se, Jiski Natedaari Hai Poem by Aftab Alam

Main Ek Phool Hun Kanto Se, Jiski Natedaari Hai

Rating: 5.0


(I am a flower thorns are my relative)

Main ek phool hun kanto se, jiski natedaari hai,
Main wo qissa hun pariyon ka, na jisme phulwari hai,
Mere sawan ki badri tu, baras na mere angan men,
Fana hona hi hai mujhko, bata kab teri bari hai,

Mile the raah me rahbar, bichhud gaye sab ke sab sare,
Wo lamha yad hai ab tak, hansi thi jiske nazare,
Mujhe rokagaya pal-pal, hanso na is tarah tum to,
Chalo duniya ke raste tum, tumhari ye sawari hai,

Samajh paya na main ab tak, mujhe wok yon lubhata hai,
Khada banhe pasare wo, na jane kyon bulata hai,
Meri ankho me to jhanko, jara dekho samundar ko,
Dube hain kai yhaan gabru, kaho kab jaan pyari hai,

Badal lo aina apna agar kuchh aur dikhaata hai,
Haqiqat ko nabadlo tum, ye sidhi raah chalata hai,
Phalon se ped lad kar kyon, bhala aise yejhukte hain,
Koi kahta hai ye hiqmat, koi kahta hai bhari hai,

Meri uljhan ko samjhao, mujhe nay un bahlaao,
Meri khushboo ko le kar tum, khawabon ko to sajaao,
Meri baton ko sun kar tum. Mujh par yun na gurrao,
Main ek phool hun kanto se, jiski natedaari hai,

Main ek phool hun kanto se, jiski natedaari hai,
Main wo qissa hun pariyon ka, na jisme phulwari hai,
Mere sawan ki badri tu, baras na mere angan men,
Fana hona hi hai mujhko, bata kab teri bari hai,

Friday, August 29, 2014
Topic(s) of this poem: world peace
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 29 August 2014

thorns are my relatives, very true Aftabji, my brother, my dear poet.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success