Mera Desh Jal Rahaa Hai (Urdu/Hindi) Poem by Aftab Alam

Mera Desh Jal Rahaa Hai (Urdu/Hindi)

Rating: 5.0


Mera desh jal rahaa hai
Majhab ke chulhe me
Nafrat ki aanch hai
Rasoiya apni ummiden
bade pyaar se Tal rahaa hai
Mera desh jal rahaa hai

Wadon kaa diwaanaa pan
Kale ghanghor ghan
Saavan ko chhal rahaa hai
Tan-badan jal rahaa hai
Mera desh jal rahaa hai

Wo saath chal rahaa hai
Seene ko dal raha hai
Saanso ki garmiyon se
ehsaas pighal rahaa hai
Mera desh jal rahaa hai

Hai khet saare banjar
Sabne ise charaa hai
Hai pet khaali inkaa
Ab tak nahi bhara hai

Kya aql fir gai hai
Bheja khisak gaya hai
Kya khane me jahr de dun
Bachchaa jo ro rahaa hai
Mera desh jal rahaa hai

Chunaav aa raha hai
Ghar ko jala raha hai
Har koi chhal raha hai
Hantho ko mal raha hai
Mera desh jal rahaa hai

Thursday, September 12, 2013
Topic(s) of this poem: political
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My Country is burning
in English slightly different
COMMENTS OF THE POEM
Pardaz Aftab 06 November 2013

nice lines {Hai khet saare banjar Sabne ise charaa hai Hai pet khaali inkaa Ab tak nahi bhara hai }

2 0 Reply
Neela Nath Das 12 September 2013

So true! Silently the fire is going to engulf us.Good thought.

2 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success