Talash Poem by Akhtar Jawad

Talash

Rating: 4.9


Raanaion ko chunte rahe sham ho gayee,
Meri talash thak ke mere nam ho gayee.
Daman ke phool bikhre tuhi dast ho gaye,
Ek khar ki chubhan thi dilaram ho gayee.
Wuh nam wale rat mein murjha ke so gaye,
Benam si khalish thi jo badnam ho gayee.
Badnamion ki gathri liye chal sake na hum,
Hari hui wafa teri gumnam ho gayee.
Maghrib ke waqt jaisi mili roshni mujhe,
Aysi hawa chali wuh sare sham so gayee.
Dil mein chupaya rang to chehre pe aa geya,
Khushboo kisi ki phaili sare aam ho gayee.
Mayoos is talash se jab hum bhi ro diye,
Dil se kiran wuh nikli khushilham ho gayee.

Talash
Saturday, June 11, 2016
Topic(s) of this poem: search
COMMENTS OF THE POEM
Hassan Hayati 13 April 2019

I just understand some of the words common in Persian, but I am sure this is a wonderful write. Sir Jawad.

0 0 Reply

Dil mein chupaya rang to chehre pe aa geya, Khushboo kisi ki phaili sare aam ho gayee. Mayoos is talash se jab hum bhi ro diye, Dil se kiran wuh nikli khushilham ho gayee. Wah! Kya baat hai, Akhtar Sahab. Bahut Khoob!

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 21 August 2016

Mahrib ke waqt jaisi mili roshni mujhe, Aysi hawa chali wuh sare sham so gayee... Wah kia kahney hai... lajavab aur umda khayal...

0 0 Reply
M Asim Nehal 11 June 2016

Wah wah kya baat hai...Janab, Ek umda ghazal. Dil mein chupaya rang to chehre pe aa geya, Khushboo kisi ki phaili sare aam ho gayee.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success