Ghazal-Chand Aansu Hum Ne Pee Dale Chand Peetey Peetey Beh Bhi Gaye Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Chand Aansu Hum Ne Pee Dale Chand Peetey Peetey Beh Bhi Gaye

Rating: 5.0


Kutch gham woh mile ke tadap uththe, kutch aise mile jo sah bhi gaye,
Chand aansu humne pee daley chand peetey peetey bah bhi gaye.
Toofan na jane kitne uthe sab jhele humne chup hi rahe,
Aankhon ke ubalte ashkon se hum apne fasane kah bhi gaye.
Do hont laraz ke tham hi gaey woh bat zuban tak aa na saki,
Kai bar kisi ke samne hum do palken utha kar rah bji gaye.
Armanon ki chakki mein pis kar dil khoon huwa aankhon se baha,
Is ek muhabbat ki khatir hum lakhon masaib sah bhi gaye.
Paththar pe asar keya maujon ka takra ke bikhar jati hain khudhi,
Jazbat ke sarkash dharon mein hum tinkon ki manind bah bhi gaye.
In jagti aankhon ke sapne deewana bana kar choren ge,
Woh nazren jhukae aae yehan aur deir talak phir rah bhi gaye.
Hansti huwi chanchal aankhon ne jhuk jhuk kar uthna seekh liya,
Jo kah na sake they hum ab tak woh sari baten kah bhi gaye.

Friday, April 18, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An old Urdu ghazal
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 09 October 2016

A beautiful ghazal....................................................

0 0 Reply
Souren Mondal 18 January 2016

Dil me jab aisa hota hai, tab zubaan se labzoon ka nikala mushkil hota hai.. Kho jate hai hum unki yaadon mein, ke ab ansu sukh ke sirf khoon hi nikalte hai.. Apki is ghazal ne sadh me rula diya.. Bohut hi umda aur dard bhari kahani ko apne sundarta ke saath bayan kiya hai.. Sukhriya Akhtar ji..

1 0 Reply
M Asim Nehal 21 September 2015

Dil halka karke aapne apna itni umda ghazal jo yeh hai likhi Apni baatein kehte kehte meri ankhe bhi bhigo gaye.......................Heartfelt poem..............10

1 0 Reply
Khalid Saifullah 06 February 2015

Ek dard bhari ghazal........................10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success