University Days (Urdu) Poem by Akhtar Jawad

University Days (Urdu)

Rating: 5.0


Mujhe khabar hay chupke cheupke tum mujhko sochti rahti ho,
Tum apne kunware sapnon mein bas mujhko dhoondhti rahti ho,
Tum mujhse aankhen milati nahin mujhe dekh ke tum muskati nahin,
Jin rahon per hota hoon khada un rahon per tum aati nahin,
Wuh kanakhian maine dekhi hayn tum unhi achi lagti raho,
Tum aise hi mujhe dekha karo tum mujhko unhi dikhti raho,
Wuh chand gagan pe chamakta hay wuh bhi to mere pas nahin,
Main to ek chakor hoon bus jise milne ki koi aas nahin,
Wuh phirbhee raton mein udta hay thak jata hay so jata hay,
Keya keya sapne dekhta hay keya jane kahan kho jata hay,
Tum chand ho yunhi chamakti raho main bhi kahin so jaoon ga,
Yeh raten to aani jani hayn main sapnon mein kho jaoon ga.

Barson pehle key eh sapne phir yad mujhe keyun aane lage,
Keya umr ki is manzil pe tumhein wuh beete din tadpane lage,
Jee chahta hay phir dekhoon tumhein na jane kahan ho kaisi ho,
Tum nani dadi banker bhi keya ab bhi bilkul waisi ho,
Sapnon mein bhi kanakhion se tum dekh ke mujhko hans dena,
Ab aur bhala keya mumkin hay ab keya dena aur keya lena,
Yeh peyar na tha per jo bhi tha ab tak acha lagta hay,
Jab sochta hun un lamhon ko dil soona soona lagta hay,
Wuh din bhi kitne peyare they aur tumbhi kitni peyari theen,
Wuh ghadiyan ek sharart ki jo humne sath guzari theen!

This is a translation of the poem University Days by Akhtar Jawad
Tuesday, December 23, 2014
Topic(s) of this poem: student
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Kisqadar sada-o-bebak hay Aali ke hamein- Uspe lagte they ji ilzam kaee yad aaye (Jameeluddin Aali)
COMMENTS OF THE POEM
Edward Kofi Louis 03 March 2016

Mankind is made to learn always. Thanks for sharing.

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 04 May 2015

Bahuth Pyari yaddon ki nazm. Romance filled days beautifully presented. Golden memories..... Wuh din bhi kitne peyare they aur tumbhi kitni peyari theen, Wuh ghadiyan ek sharart ki jo humne sath guzari theen! Loved reading each lines..

0 0 Reply
Khalid Saifullah 24 December 2014

Bahut Khobbsoorat nazm hay..............10

1 0 Reply
Close
Error Success