Udasi Poem by Akhtar Jawad

Udasi

Rating: 5.0


Aaj ki rat keyun udas hay chand,
Chandni khoi khoi lagti hay,
Yeh sitare hayn kisqadar khamosh,
Patte patte pe ek sukoot sa hay,
In hawaon pe ek jumood sa hay,
Ro rahi hay na jane keyun shabnam,
Phool bele ke pheeke pheeke hayn,
Kalian juhi ki beqarar si hayn,
Rat rani pe wuh bahar nahin,
Aur mujhko bhi to qarar nahin,
Kaise kah doon ke intezar nahin,
Rat dhalne ko hay na aaye tum,
Ek tum jo nahin to sab hayn udas.

Tuesday, May 26, 2015
Topic(s) of this poem: missing you
COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 27 May 2015

Ab mujhey samajh mein ayi kyon hain aap Udass? Ek tum jo nahin to sab hayn udas. Bahuth pyari kavita hai aapki. Loved reading it.

0 0 Reply
Mr. M Jamal 26 May 2015

Patte patte pe ek sukoot sa hay, In hawaon pe ek jumood sa hay, And the end one Rat dhalne ko hay na aaye tum, Ek tum jo nahin to sab hayn udas. Khubusrta nazm :)

1 0 Reply
Khalid Saifullah 26 May 2015

A touching poem.........................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success