Ye Meri Qabr Hai Poem by Aftab Alam

Ye Meri Qabr Hai

Rating: 5.0


Ye meri qabr hai, koyee rone ki jagah nahi,
Ansuon se in chraghon ko bujha na dena
Mujhe andhere me rahne ki aadat nahi,
Mere qabr ko hamd se roshan kar dena

Ye zindagi paighame amal hai ya amale paigham
Agar samajh sako jo itni baat, mujhe bata dena,
Taqdeer ki safed chadar kabhi maili nahi hoti,
Tadbeer ke rangon se ise rangwa nahi dena,

Ye meri qabr hai, koyee rone ki jagah nahi,
Ansuon se in chraghon ko bujha na dena
Jujhta raha hun jeevan bhar, hawaaon se,
Ab hawaon ka koyee jor nahin, jagaa na dena,













©2014 Aftab Alam Khursheed. All rights reserved

Monday, October 27, 2014
Topic(s) of this poem: death
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 27 October 2014

An impressive poem.............................

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 27 October 2014

Beautiful poem with Quite Interesting lines...... Ye zindagi paighame amal hai ya amale paigham Agar samajh sako jo itni baat, mujhe bata dena, Taqdeer ki safed chadar kabhi maili nahi hoti, Tadbeer ke rangon se ise rangwa nahi dena, Loved reading it. Thanks for sharing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success