Aaraam Hai Kuchh Kaam Hai. Poem by Jitendra Suryavanshi

Aaraam Hai Kuchh Kaam Hai.

Aaraam hai kuchh kaam hai,
kuchh ye karoon kuchh vo karoon.

Kuchh bhaagta kuchh thaharta,
phir ud padhoo ya gir padhoo.

Hai vahee vithaamaan jisako,
dhoondhata mein phir raha.

Ise paas loon thoda saans loon,
ye bhee karoon vo bhee karoon.

- Jitendra Suryavanshi

READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success