Agnipath: Ek Naya Adhyay (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Agnipath: Ek Naya Adhyay (Hindi)

Rating: 3.5

Tu na rukega kabhi,
Tu na jhukega kabhi,
Tu na mudega kabhi,
Kar shapath, kar shapath,
Agnipath, agnipath, agnipath.

Kaal ko kar ke peeche,
Swa-swapn ko khoon se seenche,
Antah andhiyaare ko kar ke peeche,
Mashaal ujaale ki liye,
Kar shapath, kar shapath,
Agnipath, agnipath, agnipath.

Parwat se kathor hokar,
Fool sa komal hokar,
Sapnon ko sach mein bo-kar kar shapath,
Agnipath, agnipath, agnipath.

Tu na hoga digbhramit,
Tu ban ja Amit,
Swapn tera hoga falit,
Kar shapath, kar shapath,
Agnipath, agnipath, agnipath.

Wednesday, September 7, 2016
Topic(s) of this poem: inspirational
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success