Andaz Dosti Ka (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Andaz Dosti Ka (Hindi)

Der raat ka woh andhera
Andhere mein thandi hawa
Thandi hawa woh nasheeli
Nasha woh dosti ka
Dost woh ghazab ke
Ghazab unki baatein
Baatein woh idhar-udhar ki
Idhar-udhar ka bolbala
Bolbala jazbe or zor ka
Jazba or zor hunar ka
Hunar apna apna
Apna apna andaaz
Andaaz fir dosti ka
Dosti gul-e-bahaar ki

Monday, October 10, 2016
Topic(s) of this poem: friendship
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success