Anjani Si Shikayat Poem by Yashvardhan Goel

Anjani Si Shikayat

Kuch toota yun ke awaaz bhi na hui.
Sanso se chahat ki fariyad bhi na hui.
Kuch khatam karne ka jazba kahan se aata.
Khatam hi woh hua, jiski koi shuruat na hui.

Yun toh zindagi ne muke diye bhut hein.
Hamari chahaton me bhi pagal hue bht hein.
Khuda ne gardisho me bhi chamakne wala sitara bnaya he hamko.
Par hum nazakat se begane rhe bhut hein......

Kitna aasan he kehna, ke koi bhi mil jayega.
Kya itni asani se, dil kisi ka bhi ho jayege?
Maana ke zindagi lambi he bhuttttt.
kya har rat ke bad sawera wahi ho payega?



Na thi kashmakash mazhab ki, na kisi sahare ki chahat thi.
Duniya ko roshan karne ko, tumhare sath ki ivadat thi.
Khamoshi ke zakhmo ko, bharne ki kabayad thi.
Har afsos me khin bas, anjani si shikayat thi………………………….

Saturday, August 23, 2014
Topic(s) of this poem: love and art
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success