Antah Aatma: Bhroon Vyatha (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Antah Aatma: Bhroon Vyatha (Hindi)

Rooh se ik aayi aawaz 'Maa',
Main itni buri hun kya 'Maa'?
Kyon main is duniya ka hissa nahi?
Kyon main tumhari khushi ka kissa nahi?

Bhai toh aaya hai is duniya mein,
Kyon mera hi bahishkar is duniya mein?
Kyon reh gayi kami teri mamta mein?
Kyon meri koi jagah nahi janta mein?

Mujhko kaun mera haq dilwayega?
Ru-b-ru kaun duniya se karwayega?
Kaun is jahaan ke rang mujhe dikhlayega?
Kaun mujhe jeene ki umang batlayega?

Agar main is duniya mein aaungi,
Maa tumhari beti hi toh kehlaungi,
Fir aakhir main bhi 'Kalpana' ban-dikhaungi,
Or is neele nabh mein udaan bhi bhar paungi... Udaan bhi bhar paungi...

Antah Aatma: Bhroon Vyatha (Hindi)
Tuesday, September 20, 2016
Topic(s) of this poem: sorrows
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This poem is amazing conversation between a girl foetus and her mother.... She wants to live, want to become daughter, sister, wife etc... She requests her mother to take birth in this colourful world.... Message to stop foeticide specially girl child.... Save girl child...
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success