Bichhdan (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Bichhdan (Hindi)

Kyun aa gyi ab woh bichhdan ki raat?
Kyun na rhe har dum yeh suhani baat?
Ki ab woh dost na nazar aayenge
Ki ab woh night out na kr payenge,
Ki ab woh mehfil na lagegi waisi
Ki ab na weekend ki masti waisi,
Na ab koi Dr. Mashoor Gulati
Na ab koi haalat hain jazbati,
Na ab koi Mr. Arora Saab
Na koi mohtarma na janaab,
Ab sab paison ki hod mein honge
Ab sab career ki daud mein honge,
Ab yaad hi reh jayega golmaal
Or mann mein rahega yeh sawaal,
Kyun aa gyi ab woh bichhdan ki raat?
Kyun na rhe har dum yeh suhani baat?

Sunday, November 13, 2016
Topic(s) of this poem: farewell
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success