Bs Yuhi... Poem by dr.Neha gupta the POEMLOVER

Bs Yuhi...

Pehle pehar jb mulakat hui,
to jese sb sch tha,
kisi ke mn ka ek kona mera b tha,
mere bina kahe jese koi mere mn ko parh leta tha,
mai b kisi ki yado me thi
mera b kisi ko intzar tha,
mere b pyar ko naam mila,
na jane kb mai akeli reh gyi,
jese jese waqt bda,
hr taraf andhere me tha,
jane kb wo itni dur ho gye,
ki unhe mere dard ka ehsas b ni hua.
mai andhero me roshni ki ek kiran ke sahare thi,
or vo ek kiran b kb dhal gyi pta ni chala
tb tk andhero ki adat jo pd gyi thi,
vo ek kiran mere bharose or uske intzar ki thi,
hr us andhere tufan me
maine ek shama ko hmesha jalaye rkha,
vo shama b mere bharose ki thi,
use bujhne se bchate bchate kb mai hi jal gyi,
pta na chala,
ehsaas hua tb jb apno ko b dur jate dekha,
mere saye ne b mujhe pehchan ne se inkar kr diya,
kbi suna tha ki parchai hmesha sath hoti h,
magar un tanhai k andhero me to meri parchai ne b sath chod diya...
Ab unhe mera ehsas to dur,
ab to un tk mere shabd b ni pahuche.,
bs aj mn bhr aya
or zindgi ko shabdo me keh diya.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success