Dhanya Dhanya Vaigyanik Mahaan (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Dhanya Dhanya Vaigyanik Mahaan (Hindi)

Thak gye chal chalkar paidal,
McMillan ne banayi cycle,
Door na ho saki jab kathinai,
Stephens ne gaadi chalayi,
Right-bandhuon ne banaya vimaan,
Yatra hui behadd aasan,
Thaka sa maanav baitha maan,
Dhanya dhanya vaigyanik mahaan.

Addison ko soojhi toh bulb banaya,
Ghar-ghar ko roshni se sajaya,
Karne ko sabka manoranjan,
Cinemaghar laaye Addison,
Diya Marconi ne radio daan,
Karte hum inka samman,
Dhanya dhanya vaigyanik mahaan.

Dhanya Dhanya Vaigyanik Mahaan (Hindi)
Friday, September 9, 2016
Topic(s) of this poem: invention
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success