Divyaang Poem by Veer Dhiman

Divyaang

Jo 'aankhon' se hai 'divyaang'
Log unhein 'andha' kehte hain
Shukra hai bhagwaan ka
Paap ki duniya nhi dekh skte hain

Jo 'pairon' se hai 'divyaang'
Log unhein 'langda' kehte hain
Shukra hai bhagwaan ka
Paison ke peeche nhi daud skte hain

Jo 'kaanon' se hai 'divyaang'
Log unhein 'behra' kehte hain
Shukra hai bhagwaan ka
Apshabd or ninda nhi sun skte hain

Jo 'zubaan' se hai 'divyaang'
Log unhein 'goonga' kehte hain
Shukra hai bhagwaan ka
Mithya nhi keh skte hain

Jo 'dimaag' se hai 'divyaang'
Log unhein 'pagal' kehte hain
Shukra hai bhagwaan ka
Kisi paap ka hissa nhi ho skte hain

Tuesday, February 21, 2017
Topic(s) of this poem: disability,blindness,deafness
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success