Haqeeqat Ae Zindagi.! ! ! Poem by Jyoti Joseph

Haqeeqat Ae Zindagi.! ! !

woh raat bhi kya raat thi,
jo jalte chiragon se roshan hui,
aur bhujti hui lau ke saath,
is duniya ki chaka chaundh mein gun ho gae.

zindagi ki daastan bhi us chirag ki tarah hai,
jo jalta hai dusro ko roshan karne ke liye,
khud jeene chale the hum,
haqeeqat ke thapedo se haare aur,
haath chhutake zindagi kho gae.

ab kahan dhunde use,
in siayasti roshton ke darmiyan,
jahan roz beto ke war se,
maa ki mamta chhalni ho gayi.

yu to karte hai hum bhi aman aur ahimse ki baatein,
gandhi ji ki tasveer ke neeche mar peet bhi karte hai,
har swatantra nhagrik chheen raha hai dusro ka adhikar,
Bharat maa ki pakeezgi phir se kalankit ho gayi.

Gaur karo ae jag waalo,
na rona phir baad,
aur sir par dharke haath...
na kehna bahut der ho gayi.!

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success