Hum Teeno Poem by Parul Agarwal

Hum Teeno

Teen nanhe haath saath mein
Khelen, naache gaye bagh mein
Such-dukh jinhone bante har pal
Aaj naa jaane kho gaye kahaan pe.

Bachpan ki woh yaadein
Tatpar thi joh har waqt
Dene ko saath, ek duje kaa
Dondhe nigahen un yadon ko.

Barish ki thandi fuhaar
Laati jivan mein bahaar
Saath beth maje lete
Garam pakode milkar khaate.

Maa ki meethi jhidki sun
Mand-mand hum mil muskate
Unki aankhon mein dekh aansoon
Jhat se unke paas daud jaate.

Padhai mein jab koi mushkil pate
Ek doosre ki madad karte
yun-hin khelte koodte hum teeno
Naa jaane kahaan chod aaye bachpan.

Aaj dhoondte hain hum
Woh galiyaare chaubaare
Samete hain jo bachpan ki khushboo
Goom ho gaye kahin pe.

~08/07/08~

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success