Jab Girati Gaaz Gareebo Par Poem by shambhu nath

Jab Girati Gaaz Gareebo Par

Jab girati gaaz gareebo par
Tab neta jan muskaate hai
Aswashan dene paidal chal kar
Khud darwaaje hai
Ye nahi ki kuchh na de
Kuchh to deke jaate hai
Par saade kagaz ke panno par
Pura budget banaate hai
Janata bhee jai jai karati hai
Samajh na paati chaal ko
Unake pyare shavdo se
Sah jaati unaki dhal ko
Ye rajniti ka fanda hai
Pyare shavdo se karate mar
Aansoo puri ponch dete hai
Par kheech lete hai pakki khaal
Vote maangane jab aate hai
Hans hans ke batiyaate hai
Poonch lete hai haal ko
Chamcho se chupake kahate hai
Samajh lena ab chaal ko

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success