Khaalipan! ! Poem by Shagun Khera

Khaalipan! !

kuch der raat ke garam ujale..
khidki se sitaro ki tarah tim timate hai! !
aur mera wajood, jaise doobtaa jaata hai unki gehrai main..
sab khwahisho ke jaise he to lagte hai! !
rangeen...chamkte...kuch tez..aur kuch matham! !
kuch bulund hai aur kuch bikhre hue! !
raat ki kaali god mein simte! !
jalte hue ujale ya jalte hue khawab! ! !
unhe ghanto takta hu main...
is ujale ke samundar main...
woh jo ek mera chiraag hai...mera khawab! !
woh kis rehguzar pe khada hai...
mere inteezaar mein! !
khud ko jalaye hue...ek khaali se tanhai mein! !
meri rah takta hai! !
aur main! ! usse na aashna..dhund raha hu! !
is bheed mein...ek rehguzar...
jo mujhe meri manzil ka pata de...
woh kadam! ! jo aage bardne ki salah de..

waqt ki ghardiya..sustane ka aelaan kar rahi hai..
raat ke 2 baje! ! kuch khawab neend ki kaid se bhaage hue..
unhi sadko pe..bhatkte jaa rahe hai...
bebaak, besabr, bekhauf! ! !
kisis unchi si imaarat ki...
ek roshan khidki ko tatoolte hue..
khud se keh rahe hai..
kaun rehta hai waha! ! !
shayd hum bhi wahi rehna chahte hai..
kuch khawab...zindagi ki haqeeqat se farrar...
charago ki tarteeb mein khone ke liye..
khud ko jala rahe hai! ! !
aur main..apne ghar ki khidki se..
unhe dekh raha hu! ! !
doobi hue bojhal aakhon se..
ek ubaasi ke lamhe ko naakarte hue...
aakhon ke kone mein jalte he dhue ko ponchta hu...

is khalish..ek ranjish jaise dil ko khichti hai! !
ek khaali..soona sa samma...mujhpe haawi ho raha hai! !
yeh soz! ! jaise purane samaan ki tarah! ! wahi parda hai! !
meri kaifiyat he jaise..bebasi ban gayi hai! !
khud se naaraz....khud se bhagta hua! !
ek haivan ban gaya hu! !
dil doob jaata hai aksar yeh sochkar mera..
jo kabhi apna tha..ussi ka aaj mehmaan ban gaya hu! !
ek khamaksh ka dasht! !
ek kismaat ka khel....
khud pe he has raha hu! ! !
rone ka ilzaam shayad..utha he nahi paunga..
isliye hawaon mein aasuo ko sukha raha hu! !

woh ek rukh hawa ka bhi mere chehre ke malaal ko..tatool raha hai! !
aaj kya khoya..kya paya...iska hisaab ho raha hai! !
kaunsa khawab dafan hua hai! ! !
kaunsa khawab ab bhi jal raha hai! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success