Khuda Ki Dor: Dosti (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Khuda Ki Dor: Dosti (Hindi)

Kyun us khuda ne banai dosti?
Kyun har cheez se parai dosti?
Yahan har baat ka matlab kuch or hai,
Manzil kuch or hai, mukaam kuch or hai,
Jazbaat kuch or hai, halaat kuch or hai,

Kyun us khuda ne banai dosti?
Kyun har cheez se parai dosti?
Duniya kehti dosti bikti nahi,
Par maya ke aage kyun tikti nahi?
Jhukti chali ja rhi kyun rukti nahi?

Kyun us khuda ne banai dosti?
Kyun har cheez se parai dosti?
Mere liye dosti ke har rang niraale hain,
Kuch pal khatte or kuch meethe wale hain,
Kuch rang halaat par, kuch jazbaat par daale hain,

Kyun us khuda ne banai dosti?
Kyun har cheez se parai dosti?
Kuch palon ka hi toh sahara hai,
Kyonki yeh pal bhi toh hamara hai,
Dosti mein hi bada kyun mahaan saare hai,

Kyun us khuda ne banai dosti?
Kyun har cheez se parai dosti?
Dosti ki dor ko khuda ne banaya hai,
Kya humne ise b-khoobi nibhaya hai?
Haan, khuda ki dor ko hum sabne bachaya hai.

Monday, September 19, 2016
Topic(s) of this poem: friendship
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success