Kismat Ke Ghode (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Kismat Ke Ghode (Hindi)



Yeh kismat ke belagam ghode
Rehte hain zindagi par daude

Samman se bhara kismat ka chitran hai
Karon se karm ka yeh rann hai
Kismat se bhara safalta ka kan-kan hai

Samay par prabal or atal kabhi kabhi
Nirbal, Achal or Ojhal kabhi kabhi
Surya-si chamak or thandak-si kabhi kabhi

Haathon ki lakeerein, hain patthar ki nahin
Karmon ke zakheere, hain sifarishein yeh nahin
Safaltaon ka kshitij hai, ismein do raay nahin

Yeh kismat ke belagam ghode
Rehte hain zindagi par daude...

Tuesday, January 7, 2020
Topic(s) of this poem: fate,luck
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success