Kya Sooche Tu Re Manwa... Poem by Poonam Mehta

Kya Sooche Tu Re Manwa...

Kya sooche tu re manwa,
Sab mitya hai, maya hai.
Bahar kya tu khoojta,
tu ek sampoorn kaya hai.

Is ter mer ke pher mein,
Kyun tune sukh chen gwaya hai?
Woh har jagah tujhe dekh raha,
Har jarre mein jo samaya hai.

kaun apna kaun paraya hai,
isme kyun tu bharmaya hai?
Har prani mein jo samaya hai,
Usi ne tujhko bhi apnaya hai.

Kya sooche tu re manwa,
Sab mithya hai, maya hai.

Ek pal aana hai aur,
Duja chale jaana hai.
maati ka tan hai,
mati mein mil jaana hai.

Kyun preet lagani hai?
Ye bhi to begaani hai.
Shan bhar behlati hai,
Phir dil ye dukhati hai.

Duniya ka rela hai,
Phir bhi tu akela hai.
Ek wahi hai tera apna,
jo sabka sarmaya hai.

Kyun uljha hai tu re manwa,
Sab mitya hai, maya hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success