Lakshya Poem by Mandeep Chahal

Lakshya

Na bhoot na bhavishya hai
Vartman hai sacha drishya hai..
Hai zinda tu tbhi agar..
Teri zindagi me koi lakshya hai...
.....
Myano me na koi aukaat talwar ki..
Bin jale bhune na takat auzar ki..
Lahu behta hai tabhi agar..
Nirvastar har shastar hai..
......
Hai kamzor, to us angh ko aanch de..
Hai nazuk, to rassi ko us jagah ganth de..
Na shastra se ho bhyabheet..
Na yaad kr tu apna ateet...
Ban sakta hai tu kuch bhi
Kyunki tu ek manushya hai..
Magar zinda hai tj tbhi agar
Teri zindagi me koi lakshya hai..
.....

Na hai rang tere pass, na badal tasveer khyal ki...
Na hai tere sath koi, na chal chaal bhedchal ki..
Tu dekh sabkuch, tu sun baat hr aawaz ki..
Magar maan k chal bs apne dilodimag ki...
Mil jayenge rang, pure honge khyal bhi..
Mil jayega dang, badlega ye kaal bhi...
Koi na ho tere sath to,
Hoga ishwar agar tu satya hai...
Magar zinda h tu tbhi agar
Teri zindagi me koi lakshya hai..
......
Bahut kuch dekha is duniya me..
Kbhi khudko dekha duniya me..
Soch agar aaj abhi mit jaega..
Kon krega yaad tujhe is duniya me..
Kar kuch aisa tere baad har koi tere naam ko seenchey.
Sirf teri, zindagi na beete, tu beete, to ek yug beete..
Jab tak hoga teri ragon me ubaal..
Tbhi tak hoga is jahan ko khyal...
Ye zzindagi to jaise ek nritya hai...
Na bhoot na bhavishya hai
Vartman hai sacha drishya hai..
Hai zinda tu tbhi agar..
Teri zindagi me koi lakshya hai...
.....

Saturday, June 18, 2016
Topic(s) of this poem: inspiration
COMMENTS OF THE POEM
Mandeep Chahal 18 June 2016

Alewa02.blogspot.com

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success