** Mai Hoo Sar Khamida ** Poem by Syed Anwar Yarkhan Jilani

** Mai Hoo Sar Khamida **

Mujhe shaan aaisi aata kijiyega
Meray haq may Khwaja dua kijiyega.

Nazar mujh per Khwaja zara kijiyega
Mujhe ab sahara aata kijiyega.

Mai hoo sar khamida meray lab hai aagiz
Sada dhadkanow ki soona kijiyega.

Nazar jab oothaoo tow dekhoo tumhiko
Tasawwer ka ye hosla kijiyega.

Na hai maal aur daulat ki mujhko tammanna
Faqat apne der ka gada kijiyega.

Ye arman hai roodate gam apnee Khwaja
Mai kahta rahoo aap suna kijiyega.

Hai Ajmer dekha Madina bhi dekhoo
Ye arman poora Shahaa kijiyega.

Jo Khwaja ke der se eelaka hai tum ko
Sharabay Tahoora piya kijiyega.

Kabhi ban ke arman ya Anwar ban ke
Meray chasm o dil may raha kijiyega.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success