Na Kisii Ki Aankh Ka Noor Huun Poem by Bahadur Shah

Na Kisii Ki Aankh Ka Noor Huun

Rating: 3.1


naa kisii kii aaNkh kaa nuur huuN, naa kisii ke dil kaa qaraar huuN
jo kisii ke kaam na aa sake, maiN vo ek musht-e-gubaar huuN

main nahin huun naghma-e-jaaN feza, koii sun ke mujh ko karega kya
main baRe birog ki huuN sada, maiN baRe dukhoN ki pukaar huun

meraa rang ruup bigaD gayaa, meraa yaar mujh se bichaD gayaa
jo chaman khizaaN se ujaR gayaa, main usi ki fasl-e-bahaar huun

naa to maiN kisii kaa habiib huuN, naa to maiN kisii kaa raqiib huuN,
jo bigaD gayaa vo nasiib huun, jo ujaD gayaa vo dayaar huun.

padhe faatihaa koi aae kyuuN, koi chaar phuul chaDhaae kyuuN?
koi aake shamaa jalaae kyuuN, maiN vo bekasi kaa mazaar huuN

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Bahadur Shah

Bahadur Shah

Dehli / India (Mughal Empire)
Close
Error Success