Nanha Gulab Poem by NEHA UPADHYAY

Nanha Gulab

Chat par ghumte hue,
Apne khyalon me jhoomte hue,
Maine ek chota gulab dekha,
Dali pe khilta nanha khwab dekha,
Use dekh kar mujhe muskurane ki wajah mill gayi,
Bhatakte hue khayalon ko dil me jagah mill gayi,
Mujhe ek nanha sa dost mil gaya,
Use badhta hua dekh mera dil khil gaya,
Us nanhe se phool ne meri bagiya mehkadi,
Ek pal me zindgi ki sacchi tasveer dikha di,
Usne kaha zindgi sirf khushiyun ke sath bitayee nahi jati,
Aur dard bhari dastan apno se chupai nahi jati,
Voh bhi toh kantoon ke beech rehta hai,
Par har pal muskurakar yeh kehta hai,
Ki choti si hai par pyari hai yeh zindgi,
Mili hai khulke jeene ko yeh zindgi.

COMMENTS OF THE POEM
Gulshan Mehra 30 April 2010

really very nice neha seriously i likes it alot

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success