Paryavaran Prem: Love For Nature (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Paryavaran Prem: Love For Nature (Hindi)



Hansna-khilkhilana sikhate hain phool,
Tab bhi ismein hote hain shool,
Jab bhi udti hai yeh dhool,
Manushya ke paar lagte hain kool.

Aawaz hai nadiyon ki kalkal,
Pata nhi bachengi bhi yeh kya kal?
Kheton mein jab chalta hai hal,
Wahan bhi chahiye nadiyon ki kalkal.

Madhur-madhur behti hai pawan,
Thandi-thandi hai yeh pawan,
Manushya ko lagti chanchal yeh pawan,
Pashu-pakshiyon ki saathi yeh pawan.

Ghir-ghir aaye kaale badal,
Garaj-garaj kar kaale badal,
Hawa se udte kaale badal,
Sabko bhaane wale badal.

Prem karo in phoolon se,
Prem karo in nadiyon se,
Prem karo is pawan se,
Prem karo in badalon se,
Prem karo paryavaran ki har ik-ik kadi se...

Friday, September 16, 2016
Topic(s) of this poem: nature love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success