Pyari Bhasha Hindi Evam Vyakaran Ki Jhalak (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Pyari Bhasha Hindi Evam Vyakaran Ki Jhalak (Hindi)

Rating: 3.0

Sabse pyari bhasha hai Hindi,
Ye toh hai Bharatmata ki bindi,
Rajbhasha hai Hindi,
Rashtrabhasha hai Hindi,
Saral, sabhya or sundae hai iski 'vyakaran',
Yahi hai iske prachlit hone ka kaaran,
'Varnon' ki mala kehlati hai 'varnmala',
Yahi hai maano Hindi ki mala,
Jab 'varnon' ka mail hota hai sarthak,
Kehlata hai 'shabd', nahi hota nirarthak.


Sabse pyaari bhasha hai Hindi,
Yeh toh hai Bharatmata ki bindi,
Rajbhasha hai Hindi,
Rashtrabhasha hai Hindi,
Shabdon ka sarthak mail kehlata hai 'vakya',
Vakya hi banate hain 'nibandh' or 'kavya',
Aabhooshan kehlate hain uske 'alankaar',
Shobha badhate jaise ghunghru or haar,
Visheshta batate hain Hindi mein 'visheshan',
Jisse saja hi Hindi ka kan-kan.

Sabse pyaari bhasha hai Hindi,
Yeh toh hai Bharatmata ki bindi,
Rajbhasha hai Hindi,
Rashtrabhasha hai Hindi,
Naam kisi ke kehlate hain 'sangya',
Jaise ladka, Jhansi or Pragya,
Sangya ka sthan leta hai 'sarvanaam',
Karta main Hindi ko shat-shat pranaam,
Main, tum or aap hain iske udaharan,
Kar lo ise apne jeevan mein dhaaran.

Sabse pyaari bhasha hai Hindi,
Yeh toh hai Bharatmata ki bindi,
Rajbhasha hai Hindi,
Rashtrabhasha hai Hindi,
Batati vakya ka karya 'kriya',
Kya hua? or kya kiya?
Mahatvapurn ang hai iska vachan,
Jaise 'ekvachan' or 'bahuvachan',
Bhed batate hain Hindi mein 'ling',
Jaise 'striling' or 'pulling',

Sabse pyaari bhasha hai Hindi,
Yeh toh hai Bharatmata ki bindi,
Rajbhasha hai Hindi,
Rashtrabhasha hai Hindi,
Hindi ke hain pramukh smarak,
Jaise 'avyay' or 'kaarak',
Hindi ki hai pramukh sukti,
Jaise 'muhavare' or 'lokokti',
Mitron yeh thi Bharatmata ki bindi,
Tabhi toh iska naam hai Hindi.

Monday, September 12, 2016
Topic(s) of this poem: national day
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This poem is a brief explanation for grammar of Hindi language.... Love you Hindi...
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success