Har shaam, intezaar karti hoon main,
Woh aayenge, unki raah takti hoon main,
Har lamha, unke liye jeeti hoon main,
Haan sach hai, unhee par marti hoon main…
Har shaam aakar yun hee chali jaati hai,
Pyaase mann ko, aur pyaasa kar jaati hai,
Na woh aate hain, na unki khabar koi,
Yun hee bas aise phir rulaa jaati hai…
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem