Shaheed Diwas (Ghazal Type) Poem by Veer Dhiman

Shaheed Diwas (Ghazal Type)



Ab kaun Shaheed-e-azam kehlate hain?
Kaun Inqualaab ke naare lagate hain?
Hanste-hanste kaun shooli chadh jate hain?
Sahib-e-alam yeh toh dastoor hai zamane ka,
Ruksat ho kar ke kaun yaad reh pate hain?


Kiske khoon ka rang tiranga ban pate hain?
Kiske Inqualaab par yuva ikattha ho jate hain?
Sarfaroshi ki tamanna ab kiske dil mein jagate hain?
Mehfil-e-Inqualaab tha yeh toh zamane mein,
Warna akele toh desh azaad nhi ho pate hain.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success