The Truth.......Jo Aaj Udit Surya Hai, Kal Dhalna Hai...Deepak Sharma Poem by Kavi Deepak Sharma

The Truth.......Jo Aaj Udit Surya Hai, Kal Dhalna Hai...Deepak Sharma

Daal kar kuch neer ki bunde adhar mein
Kar akela hi vida agyat safar mein
Kuch neh mishrit ashru ke katre bahakar
Sambandho se apne sab bandhan chudakar
Baandh tan ko kuch haath lambi cheer mein
Doobkar swajan kshanik vichoh peer mein
Tan tera karke hawan ko samarpit
Kuch paramparagat shradha suman karke arpit
Dheere – dheere chavi tak teri bhul jayenge
Kaal ka easa bhi ek divas aayega
Aatmiya bhi naam tak tera bhool jaayenge

Saath kewal karm honge, maya na hogi
Sambandhi kya sang apni chaaya na hogi
Bas pratikriyaen jag ki tere saath hongi
Nagn hogi aatma, sang kaya na hogi
Fir rishton ke saagar mein maanav khota kyon hai
Apni – parai bhawana liye rota kyon hai
Jab ek na ek din tujhko chalana hai
Jo aaj udit surya hai, kal dhalna hai


Kavi Deepak Sharma
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com
All right reserved @Kavi Deepak Sharma

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Kavi Deepak Sharma

Kavi Deepak Sharma

Chandausi, Moradabad(U.P.) India
Close
Error Success