Waiting For Love/ Intezaar 2 (Hindi) Poem by kay kareman

Waiting For Love/ Intezaar 2 (Hindi)

Ek pal ka intzaar toh karti...
Haan bepanha karta hu main mohobat tujhse....
Ek pal k liye hi sahi, aitbaar toh karti...
Kaafi banjar rishte dekhe hai main bhi...yahi
Tu is trh khafa na ho, us khili mohobat ka yakeen toh karti...
Yu ruth jane se pehle aye zindagi...
Ek baar, izhaar toh karti...
Mana main, kabhi na kabhi nazarandaaz toh main bhi kiya hoga...
Par dil se dil ki baat toh karti..
Ek pal k liye hi sahi, kabhi yaad toh karti...
Manzar kya hoga ye toh pata tha tujhe bhi...
Us qayamat tak, sath toh chalti...
Main aksar tut jaata hu tujhe Soch kar...
Un kasmo ki hi khatir sahi, mujhse baat toh karti... Ek pal k liye hi sahi intzaar toh karti.

Kay

Monday, April 11, 2016
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success