'Who Bete Lamhe' Poem by Amit Verma

'Who Bete Lamhe'

Rating: 5.0

20.11.09
'Who Bete Lamhe'


Who achanak ayenge is tarah se zindgi mein,
Humne kabhi socha na tha,
Gaali se dosti or dosti se mohabbat hogi,
Humne kabhi socha na tha,
Unka who masoom sa chera dil ko mere bha gaya,
Mohabbat ka nasha kuch is kadar cha gaya,
Mohabbat mein meri who is kadar khoye hai,
Mujhe na pane ka dar se who rato ko chip- chip ke roye hai,
Chahat meri bhi kuch kam nahi,
Par unki chahat ke aage us mein dam nahi,
Chahat ka meri is kadar imtehan na lijiye,
Meri chahat mein apni chahat ki merji samil kijiye,
Wishwas karo hum par totne hum nahi denge,
Sath aap dena chotne hum nahi denge,
Mohabbat ki hai-Mohabbat karege sath rahe hai sath rahege.....


With Love 'Amit Verma'
Ph - 0591-3200006

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Amit Verma

Amit Verma

Moradabad
Close
Error Success