Ghazal-Woh Chupke Se Aa Geya Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Woh Chupke Se Aa Geya

Rating: 5.0


Bujhte huye chiragh ko phir se jala geya,
Jhonka hawa ka yad tumhari dila geya.
Apnon ki ghaireyat ka bahut dukh raha magar,
Ek ghair keya mila ke harek dukh bhula geya.
Jaisa bhi tha wohi to mera ek apna tha,
Jhagrah ana ka usko paraya bana geya.
Aankhon se neend jab bhi udi fikre dahar se,
Aa kar tera kheyal mujhe phir sula geya.
Yun dilshikan bahut tha magar ek bat hay,
Yeh hadsa judai ka chahat badha geya.
Main faslon ke husn pe hairan hoon aaj tak,
Kyun koi isqadar mere nazdeek aa geya.
Aankhen kisi ki mujhse mukhatib hain aaj phir,
Shaed kisi ko mujhpe bahut peyar aa geya.
Yeh rahe ishq thi mujhe manoos si lagi,
Dil se chura ke aankhen main aage chala geya.
Aql-o-khirid ke pehre sabhi rah gae dhare,
Aana tha jisko dil men woh chupke se aa geya.

Friday, April 11, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My old Urdu poetry.
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut hi behatareen nazm.................................10+++

0 0 Reply
M Asim Nehal 25 September 2015

Dil se chura ke aankhen main aage chala geya. Aql-o-khirid ke pehre sabhi rah gae dhare, Aana tha jisko dil men woh chupke se aa geya........................Wah wah, Kya Khoob Nazm hai.....100 on 10

1 0 Reply
Ramesh Rai 20 August 2015

Aana tha jisko dil men woh chupke se aa geya. Kya khoob nazm hai.

2 0 Reply
Khalid Saifullah 08 January 2015

Bahut Khoobsoorat......................10

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success