Aabid Rumi

Aabid Rumi Poems

KOI AUR HAI
Tere khaboon mai koi aur hai, aur tere sayee mai koi aur hai
Kaisay tu dekhay hasrat mere, tu haqeeqat mai koi aur hai
Yeh dil kab tak arizoo karta rahai, ab koi sabab-e-furkat ho
...

Aabid Rumi Biography

Hello, i'm Aabid HAMID lone from Srinagar kashmir. I'm a Novelist, writer and poet of many languages...Basically by profession i'm an engineer.)

The Best Poem Of Aabid Rumi

Koi Aur Hai

KOI AUR HAI
Tere khaboon mai koi aur hai, aur tere sayee mai koi aur hai
Kaisay tu dekhay hasrat mere, tu haqeeqat mai koi aur hai
Yeh dil kab tak arizoo karta rahai, ab koi sabab-e-furkat ho
Kaisay tu pehchaanay mere ulfat, tu zahir mai koi, aur batin mai koi aur hai

Itrey sabnum ki tarah jalah hai mera daman bhi
Mai manzil ki jistu ju kya karoon, ab rasta bhi nazar nhi
yadoon kay samandhar mai dhoob chukka ab toh
Mai haar chukka hoon zindagi aur ab toh moat bhi ati nhi

Bhulavou yeh gum kaisay, dil ko kya dawaa doon bhar janay ki
Mai kyun nhi rub a ru khudsay , mai kon hoon ya mujmai he koi aur hai

Faryaad bhi kya ho, naa ashinaa hai yahaan sabhi
Kis mode pay kya hogaye koi khabar nhi hummay
Mai toota huva taraa hoon mujmai ab wo timtimhath kahaan
Lagta Aasmaan bhaag rahaa hai aur zameen fisal rahe ho jaisay

muntazir-e-humraah ho kya, jo rahai thi wo rahai he badhal gaye
Mud kay ab dekhoon kya, akela rahai safar tha ya koi aur be hai
Mubarak ho tummay ab yeh jahaan dard baraa
Na mud kay kabhi dekhay ghay issay dhoobara
Ab aur palkoon pay ashikay baar saha nhi jata
Laboon pay ab aur bahaana bardast nhi hota

Waqt guzra hai, kyun naa mera bhi saleeka badhal gaye Rumi
Ab aur ranjishay nhi, bhula do ghar koi ghilla aur bhi hai
written by: Aabid Rumi
suggested by: Tanzeelah Illahi

Aabid Rumi Comments

Aabid Rumi Popularity

Aabid Rumi Popularity

Close
Error Success