Bharat Jagwani

Bharat Jagwani Poems

Samay ki is tez behti dhara main,
Apne chand saalo ka hisab kyu rakhe,
Zindagi ne dia hai jab itna beshumar yaha,
To fir jo nahi mila uska hisab kya rakhe....
...

The Best Poem Of Bharat Jagwani

Zindagi-Ek Paheli

Samay ki is tez behti dhara main,
Apne chand saalo ka hisab kyu rakhe,
Zindagi ne dia hai jab itna beshumar yaha,
To fir jo nahi mila uska hisab kya rakhe....

Dosto ne dia hai itna pyaar yaha,
To Dushmani ki baatoin ka hisab kya rakhe,
Din hai ujalo se itne bharpur yaha,
To raat ke andhero ka hisab kya rakhe...

Apno se hai ger yahan,
To kuch geiron ka hisab kyu rakhe,
Kuch to bahut achaa hai sabhi main,
Fir zara si buraiyon ka hisab kyu rakhe....

Khushi ke do pal khilne ke lye kaafi hai,
To fir udasiyon ka hisab kya rakhein,
Haseen yaadoin ke pal itne hai zindagi main,
To thode dukh ki baatoin ka hisab kya rakhein...

Ye zindagi hai ek intihan yaaron,
Yaha Kuch palo ka hisab kya rakhein...! ! !

Bharat Jagwani Comments

Rahul 09 December 2019

Keep up the good work bro

1 0 Reply
Jyot prakash 06 December 2019

Nice story... Heart touching

3 0 Reply

Bharat Jagwani Popularity

Bharat Jagwani Popularity

Close
Error Success