Gurvaran Singh

Gurvaran Singh Poems

Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa,
Mujhe Aapni Kokh Mein Na Mar,
Tere Darshan Karna Chahti Hoon Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.
...

Jinse Jude Thee Khushiyon Ke Mele,
Chod Kar Humein Chale gaye Woh Tanha Akele.
Jinke Mukh Ki Bani Thi Mithas Ka Bhandar,
Unke Bina Aaj Ye Jeevan Hai Andhkar.
...

O Jane Wale Tu Laut Kay Aaja,
Teri Hai Hume Jarorat to jaldi aaja
Akele Hum is Duniya mein kya karenge
Bin tere hum kaise jiyenge
...

Gurvaran Singh Biography

I m a writer.I write many Articles, Poems/Nazams, Stories Which are published in india's famous newspaper like eg.Dainik Jagran-Junior Jagran, Amar Ujala, Ajit Samachar, Rozana Spokesman, Veer-Partap Etc.My Articles published here running now)

The Best Poem Of Gurvaran Singh

Janam De Mujhe Bhi Maa

Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa,
Mujhe Aapni Kokh Mein Na Mar,
Tere Darshan Karna Chahti Hoon Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Ladki Hoon To Kya Hua Maa, Khayal Mein Bhi Tera Rakhongi,
Pad-Likhkar Mein Bhi Maa Tera Naam Chamkaongi,
Agar Tu Kahein To Mein Tera Raj Dulara Bankar Dikhaongi,
Teri Kokh Mein Kar Rahi Hoon Intazaar Maa, Is Sansaar Mein Mujhe Bhi Le Aa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Log Ladke Kay Janam Par Khush Hote Hai, Tu Mujhe Janam Dekar Khushi maana,
Sansar Ko Tu Aaj Batade Maa, Ki Mein Hoon Ladko Say Badkar Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Teri God Mein Soona Chahati Hoon, Teriyan Loriyan Sun na Chahti Hoo,
Pyar Ki Anmol Pribasha Mein Tujhi Se Sikhna Chahti Hoo Maa,
Duniya Mein Mujhe Tu Hi Laa Sakti Hai,
Mera Tu Bhagwan Hai Tu Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Tere Jo Sapne Hai, Unko Mein Pura Karungi Maa,
Jo Tu Kahe Woh Mein Karungi Maa,
Na Mein Mangogi Mehnage Kapde, Na Mangogi Kuch Aur
Mangungi To Tera Bahut Sara Pyar Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Mere Shaadi Kay Kharach Say Pareshan Na Hoon Maa,
Mein Khoob Mehnat Karungi Aur Paisa Kamaongi,
Tujh Par Kabhi Bojh Nahi Banogi Maa,
Mere Dahej Ki Fikar Na Kar, Mein Hoon Na Teri Beti Maa,
Kyonki Aaj Ladki Hai Ladko Aay Badkar Maa,
Janam De Mujhe Bhi Maa, Janam De Mujhe Bhi Maa.

Gurvaran Singh Comments

Gurvaran Singh Popularity

Gurvaran Singh Popularity

Close
Error Success