Khaja Shaik

Khaja Shaik Poems

Ho rubaru, Teri dilkash nazron mein kho gaye..
Khubsurti par janam, Ik pal mein fida ho gaye..
In be-talab nazron se, Tera deedaar kar gaye..
Tujhe banaye us rab ki, Khub tareef kar gaye..
...

Kar haunsla buland, Karle iraade mukammal aaj abhi..
Na sonch aane wale kalki..
...

Apne jab apne na rahe..Apnon mein gair banke hum rahe,
The aankhon mein jo haseen sapne..Vo sapne ab na rahe,
Guzree-beeti yaadein..Palkon pe aansu banke ab tehre,
Zindagi bhi ab...
...

Badi haseen hai zindagi...
Iske har pal kaa, Khub lutf uthaa ke jiyo..
Kabhi khushi, To kabhi ghum bhula ke jiyo..
Chod fikr duje pal ki, Mast muskurake jiyo..
...

Ho iraade nek, Manzil ko pane ki chah badi..
Haunsle khud ba khud, Buland ho jaate hain..
Kamiyaabi ke raste, Gaib se khul jaate hain..
Bas..
...

Guzra hua kal khone ko hai, Ek naya pal ane ko hai..
Beeti yadon ko samete, Saare ghumon ko dafan ke..
Nek mannaton aur khwahishon ko jholi mein bhare..
Chale ab..Zindagi ka ek aur mod, Yun par kar chale..
...

Nazar meri chahe shohbat, Nazar se teri..
Baandhe ik resham si dor, Falak se teri..
Dil talabgaar, Pal pal badhti talab se teri..
Hai malhaar, Khoke magan mein ye teri..
...

Vo atpati baatein, Vo chatpati shararat,
Vo chulbuli harkatein, Pal pal ki hararat,
Gudgudi chutkule, Vo musmusayi muskan,
Dil mein dabe raaz, Hai jinka humein naaz,
...

Hai raah alag...raahgir alag, Donon ki taqdeer alag hai..
Khwab sabhi ne boye hain, Khwabon ki tabeer alag hai..
Ashiyan banane hain sabhi, Har ashiyan yahan alag hai..
Har kismat..Har naseeb, Har ek kaa muqaddar alag hai..
...

Azad desh ke azaad waasi, Banna hai sab ko nek,
Mazhab ke daayron se hokar, Judna hai sab ko ek,
Dekar is jahan ko, Anektaa mein ektaa ka prateek,
Huyein hum sab ek, Apne vichaaron se iraadon se,
...

Aye dil..
Sapne dekhna na chod, Khwaab bunna na chod..

Hai dikhti manzil mujhe, Par faasla bahut dur hai..
...

Ho likhi taqdir aisi, Ibadat mein guzar jaye zindagi..
Tere hi ibaadat mein rehkar, Kabz ho jaaye rooh meri..
Marte waqt chehre par, Ratti bhar ka shikan naa rahe..
Bas honton pe muskaan, Dil ko tasalli, Aur labon par..
...

Dhundla dhundla chehra..Rehta ojhal ankhon mein meri,
Bujhtaa sulaghtaa sa....Andhere mein ho jaise diyaa koi,
Banta bigadta hai dil..Khoke sudh-budh yadon mein teri,
Baawnra mann..Banke bhawnra...
...

Khula hai asmaan, Satrangi sapne bunle,
Sanjh ki garima mein, Rang apne bharle,
Laga pankh, Aaj khuli aazaadi mein udle,
Kya jhoot kya sach, Sab tol barabar karle..
...

Chehra dikhaa nahin, Zulfon mein kahin chupaa tha..
Shaam ke saye mein jaise, Humrahi mera chupa tha..
Shabnami labon pe tere, Ek naya armaan ghula tha..
Hazaron khwahishon beech, Zamir mera bandha tha..
...

Khaja Shaik Biography

I'm a simple person with simple dreams. I learn from every cue of life, try to capture all the moments in my photographic memory and hide thousands of feelings behind my smile: -) . This is a great space to pen down & garnish some of the thoughts cooking in my brain. I believe life is a stage where we all are playing different roles going through different emotions, expressions n phases of play whose script is written by a great director whom we all call God, Allah, Bhagwan, Rab, Eswar and many more to add. It really doesn't matter to which state, caste, creed you belong. Whom you pray, worship. Whether you are white, black. Nothing really matters. What really matters is that 'WE ALL ARE HUMANS'. I believe there is only one religion whose name is HUMANITY. Respect it, Serve it n Live 4 it 2 see happiness all around you. My Blog(RUHAANI) : http: //shaikkhaja.blogspot.in https: //www.facebook.com/Ruhaanii)

The Best Poem Of Khaja Shaik

Ho Rubaru...

Ho rubaru, Teri dilkash nazron mein kho gaye..
Khubsurti par janam, Ik pal mein fida ho gaye..
In be-talab nazron se, Tera deedaar kar gaye..
Tujhe banaye us rab ki, Khub tareef kar gaye..
Hue rooh se..
Tere itne kareeb, Ke ab khud hi door ho gaye! !

Khaja Shaik Comments

Khaja Shaik Popularity

Khaja Shaik Popularity

Close
Error Success